-->

Friday, May 12, 2017

Pradhan Mantri Sukanya Samriddhi Yojana for Girl Child In Hindi

Sukanya Samriddhi Yojana for Girl Child In Hindi

Pradhan Mantri Modi ji started Sukanya Samriddhi Yojana under Beti Padhao, Beti Bachao Scheme. Ye ek badi scheme hai ladkiyo ki education and shadi le liye. 

Sukanya Samriddhi Yojana Account Kaise Open Kare

Sukanya Samriddhi Yojana Account Ke liye ladki ki age 10 saal e kam honi chahye.
Ap ladki ke naam par open kar sakte hai kisi bi najdik government bank  ya post office me jakar, apne sath 3 documents lejana jaroori hai. 
  • Pehchan Patra Mata Pita Ka/Identity Proof of Guardian
  • Address Proof Mata Pita ka/Guardian
  • Janam Parman Patra/Birth Certificate Ladki ka 

Agar Ladki ke Mata Pita Sukanya Samriddhi Yojana account khol nai sakte ya phir Ladki ke Mata Pita nahi hai toh Ladki ka koi bi rishtedar ya koi bi jo uska pal raha ho Sukanya Samriddhi Yojana account khulwa sakta h. 

Pradhan-Mantri-Sukanya-Samridhi-Yojana-for-Girl-Child-In-Hindi

Sukanya Samriddhi Yojana Details, Benefits, Conditions, Features, Interest Rate

  • Sukanya Samriddhi Yojana Account kholne ki Fees Rs.1000/- hai ye apko khata kholte hue jama krwani padegi. Ye amount ap cheque, Draft ya phir cash bi de sakte hai.
  • Yad rakhiyega Sukanya Samriddhi Yojana account me ap sirf 14 saal tak paisa jama karwa sakte hai, ye 14 saal apke Sukanya Samriddhi Yojana account kholne se count kiye jayge.
  • Apko kam se kam Rs.1000/- har saal Sukanya Samriddhi Yojana account me jama karwana padega. Nahi to apka account band kar diya jayga.
  • Agar kisi karnwarsh apka khata band hojata hau to Sukanya Samriddhi Yojana acoount ko dubara start rakhne ke liye apkp Rs.1000 + Rs50 dene hoge har saal. Matlab Rs. 1050 apko har saal jama karwane hi hoge. Rs.50 pemality fees hogi.
  • Agar 14 saal k bad ap band hua Sukanya Samriddhi Yojana account khulwana chahte hai to ye nai ho payga.
  • Ap Sukanya Samriddhi Yojana Account me jada se jada Rs.1,50,000 har saal jama karwa sakte hai. Jama karwne ki koi limit nai ap jitni marji bar jakr paisa jama karwaye but Rs.1,50,000 se jada ek saal me nai karwa sakte.
  • Jama rashi 100 multiple joni chahye, jaise 100.200..300..1000..5000.1000...
  • Ek ladki ke naam par sirf ek hi Sukanya Samriddhi Yojana account khola ja sakta hai, kisi bi family ya pariwar me sirf do ladkiyo ka hi Sukanya Samriddhi Yojana account khola jayga. Do se jada Sukanya Samriddhi Yojana account nai khulege. Lekin agar apke yaha judwa ladkiya hoti hai aur phle se hi ek ladki ka Sukanya Samriddhi Yojana account hai to apki dono judwa ladkiyo ka alag alag Sukanya Samriddhi Yojana account khola jayga.
  • AP Sukanya Samriddhi Yojana account ladki ke 21 saal ke hone ke baad band karwa sakte hai nahi to ap ise chalu rakh sakte hai jab tak ladki ki shadi na hojaye. Agar ladki ki shadi 21 saal se phle hojati hai to uska Sukanya Samriddhi Yojana account band karna hoga apko.
  • Agar ladki ki death hojati hai to bank Sukanya Samriddhi Yojana account ki jama rashi ladki ke mata pita ya Guardian ko dega intrest ke sath lekin iske liye ladki ka death certificate jama karwana hoga.
  • Agar ladki ki age 18 saal se upar hoti hai to ap 50% Sukanya Samriddhi Yojana account me jama rashi niklwa sakte hai ladki ki padhai ya shadi ke liye.
  • Agar ladki kisi aur city me transfer ya chali jati hai to ap Sukanya Samriddhi Yojana account usi city me transfer karwa sakte hai.
  • Sukanya Samriddhi Yojana account me jama rashi tax bachane ke kam bi aa sakti hai.
  • Sukanya Samriddhi Yojana account ka interest rate fix nahi hai, government ise har saal badal sakt hai. 2015-2016 ka interest rate 9.20% hai. 

Sukanya Samriddhi Yojana Scheme bhut hi jada fayde wali hai Ladki ke: 

  • Future Ke Liye
  • Shadi Ke Liye
  • Education Ke liye
  • Tax Bachane Ke liye
  • Security Ke Liye 

Hum umeed karte hai apko Sukanya Samriddhi Yojana scheme ke bare me samajh aa gya hoga agar apka koi bi question hai to please comment me likhe. Isse jada se jada share kare apne dosto ke sath.

Dhanyawad!
NEXT ARTICLE Next Post
PREVIOUS ARTICLE Previous Post
NEXT ARTICLE Next Post
PREVIOUS ARTICLE Previous Post
 

Delivered by FeedBurner